MISSING YOU LATELY
The Initials
February 27, 2025 | Single
Lyrics
Jo mile na tum toh kya hi hai
Aur mil jao jo tum toh kya hi ho
Usne chaha toh milenge phir ussi mod pe
Kaun kehta hai bhatke musafir hi kafir hain
​
Guzarte waqt ki shaam ho
Jaam pe jaam pe jaam pe jaam ho
Un labon pe mera hi naam ho
Tarse hain tum ko kaisa inaam ho
​
I've never been good at goodbyes
Main palat ke dekhta nahi hoon
But whenever I look in those eyes, I try to save
Par main doobta hi hoon
​
Naseeb mein khud ka sahara
Khwabon ne badal hi dala
Dhoondhta tha khud ko main gairon mein
Ab pade na mujhe koi farq
​
Akela sa lagta tha bheed mein
Ab mujhe na khud pe koi shaq
Yaadein ye jab bhi ghar aati hain
Muskura deta hoon bas
​
Rone ka mann toh karta hai
Par aansu nahi aate hain ab
Ye gham hai dono ke hisson ka
Toh aaja ye baant le ab
​
Kyun, dhadkano ki kash-ma-kash mein
Yun, jee ye sehma jaye mera ab
Kyun, adhuri raatein, adhuri baatein
Yun, Khaati chali jaye
Khaati chali jaye
​
Khwabon ka ek aasmaan toota taara tu chal pada
Dhoondhun tujhe ab har jagah tu milke bhi na mil saka
Main dhoop hoon tu chhaon sa
Marham tu main ghaao sa
Dard mein tu dawaoon sa lage
Jab tum na the toh kya hi tha
Aur tumhare jaane ke baad kya bacha hai
Ab tum gaye bhi ho ya pata nahi
Tumhari yaadon ka gulista samne hi rakha hai
​
Ab kya meri baaton ka koi mol nahi
Mere dard pe kisi ka zor nahi
Tu is nazuk se patthar ko tod toh sahi
​
Kyun, dhadkano ki kash-ma-kash mein
Yun, jee ye sehma jaye mera ab
Kyun, adhuri raatein, adhuri baatein
Yun, Khaati chali jaye
Khaati chali jaye
Credits
Vocals
Composition
Lyrics
Music Production
Mixing and Mastering
Album Art
- Ujjwal Tiwari
- Ujjwal Tiwari, Abheest
- Ujjwal Tiwari
- Abheest, Ujjwal Tiwari
- Abheest,
- Abheest
